Tuesday Affirmation – I Am Letting Go of All Negativity
By candy!“A soft reminder: positivity tab aati hai jab tum negativity ko gently release karte ho.”
Tuesday ke din ki vibe ko positive banane ka ek simple ritual hai – ek powerful affirmation.Tuesday self-love affirmation ke saath apna din start karo, taake tumhara mindset positive shift kare.Har Tuesday ek nayi energy lekar aata hai – ek chance ke hum purane thoughts ko chhod kar naye positive vibes ko welcome karein. Aaj ki affirmation simple hai, lekin bohot powerful: ‘I am letting go of all negativity.’
Negativity humari growth ko rok deti hai, chahe wo dusron ki baatein ho ya apne khud ke self-doubts. Jab hum khud se yeh kehte hain ke ‘Main negativity ko chhod rahi hoon,’ toh humara mind us positivity ke liye space banata hai jo hume aage le ja sakti hai.
“Letting go of negativity is the first step towards inner freedom and peace.”
Aaj ke din ek deep breath lo, apni aankhon ko band karo aur ye line softly repeat karo. Har repetition ke saath apne andar ke fears aur doubts ko release karo. Believe karo, positivity automatically tumhari life ke har corner ko light feel kar degi.
“I am letting go of all negativity and embracing peace.”
Kabhi kabhi negativity loud thoughts ki tarah nahi aati — bas chhoti chhoti feelings hoti hain: comparison, guilt, overthinking. Jab tum aaj ye affirmation repeat karti ho — I am letting go of all negativity — tum apne mind ko allow kar rahi ho ke jo heavy lag raha hai usko softly release kare. Deep breath lo. Saans chhodo… imagine kar ke wo heaviness dissolve ho rahi hai. Tum halka mehsoos karogi.
Try This: Aaj 3 lines likho:
- Kya negativity chhodna chahti ho?
- Kis cheez ke liye grateful ho?
- Aaj ka support word: Calm, Faith, ya Rest?
Agar tumne likha, comment karo ya Instagram par share karke @Lifeinpages ko tag karo — main repost karungi! 💖
Full Moon ke time emotions kyun high hote hain? Ye article padho: Why Emotions Run High During Full Moon.
Comments
Post a Comment